Wednesday 13 March 2013


#DelhiBraveHeart (Nirbhaya)
Ne Apni Maa Se Kuch Sawaal Kiye Thay, Ye Uski Maa Ka Jawab Hai

Maa Ka Jawab

Haan beti tu zinda hai, tu mar nahiin sakti.
Tere aansu aaj bhi meri aankho.n se tapakte hain,
Teri cheekh mere hi dil se uthti hai, 
Tera dard mujhmein hi rota hai,
Wo haadsa, baar baar hota hai.
Wo haadsa baar baar hota hai.
Teri saansein, mujhmein abbhi chal rahi hain,
Teri aahein mujhmein sisak rahi hain
Tere khwab mujhmein zinda hain.
Papa jab bhi aate hain, ab bhi tujhko bulaate hain,
Pani tere hi haathon se peete hain,
Tu unki ungliyon mein ab bhi rahti hai,
Rakt ban kar unki rago.n mein bahti hai.
Wo tujhe paas bulaate hain,
Thappkiyaan de kar aajbhi sulaate hain,
Haan ye aur baat ki khud raat raat jaagte hain.
Bhaiyya, waisa hi shaitaan hai, apne aansu chhupata hai,
Wo kisi ko nahiin sataata hai,
Ab to mujhko bhi nahiin jagaata hai,
Subha chup chaap college ko nikal jaata hai.
Main theek hoon beti, kab soyii kab jaagi pata hi nahin chalta,
Kab sham hoti hai, kab din dhalta
Dil ab nahiin sambhalta.
Aaj tere pasand ki kheer banayi thi,
Maine pehle kabhi nahiin,  par aaj khayii thi

Tu sach kahti thi, achchi banti hai
Kal gajar ka halwa banaungi,
Aur tujhko saamne baitha hua paungi
Bhaiyya ke sath tujhe bhi khilaungi.
Ruk tere Papa bula rahe hain,
Kahte hain kis se baatein kar rahi hai,
Wo ab nahiin hai,
Kya kya kahte hain, Unko kuch nahiin pata hai
Beti tu mere paas hai, mere paas hi rahegi
Hindustan ki har Maa, tujhe apna kahegi
Papa se mat kahna ki mai tujhse baatein karti hoon
Ek Maa ko beti se baatein karne se rokte hain
Har pal hi tokte hain
Samjhte nahiin hain
Khair tu ruk, kahiin jana nahiin
Main aaungi, tujhse dher sari batein karni hain
Dher sari baatein karni hain.
Beti tu jaana nahiin…..

Sunday 3 March 2013

Ye Khwabon Ki Duniya

Ye khwaabon ki hi duniya hai, 
Jo hum aankhein khol kar dekhein
Hanste, muskuraate hain, rote aur rulaate hain
Rishte jodte, rishte yehaan par ham banaate hain
Koii jhoota, koii sachcha, koii dil ka bhi rishta hai
Koii gahra, koii pakka, koii pal bhar ka rishta hai
Ham apni zindagi ko chhor, in rishto mein ulajhte hain
Tadapte hain, jhagadte hain,
Baaton mein bipharte hain
Kabhi aansu, kabhi muskaan, kabhi kosein
Kabhi gungaan.
Magar ye khwaab to bas khwaab,
Haqeeqat kamm hi hote hain
Utho, jao tumhari zindagi tumko bulaati hai,
Ye Twitter, Facebook, Ye Net 
Sab kewal mithyaa hain
Utho jao, 
Tumhari zindagi 
Tumko bulaati hai..

#AbidZ