Saturday 5 January 2013

  Delhi Brave Heart
Wo Jo Darindagi Ka Shikaar Huii, Wo Jiski Cheekh Na Bekar Huii
Apni Maa Se Aaj Poochtii Hai
.
Maa, tum mujhe har pal yaad karti to hogi, mera khaali bistar dekh
bilakhti to hogi ?
Maa sach batao 
Papa jab ghar aate hain, kya aaj bhi mujhko bhoole se bulaate hain ?
Maa, Papa mere baare mein kya aaj bhi poochte hain,
 bitiya aayi ke nahiin ?
Maa bhaiyya kaisa hai, 
Kya wo ab bhi mujhe ghar mein aate hi dhoondhta hai ?
Mujhe pareshan karne ke liye ghoomta hai ?
Maa wo ab kis se roothta hai ?
Maa Rakshabandhan ko jab wo apni sooni kalaaii dekhega
Kya usko meri yaad phir se rulayegi ?
Maa mere phone aate to honge, log poochte to honge...
Maa mere kapde dhobi de gaya hoga
Maa meri kitaabein almaari mein saji to hongi
Maa mere wo kaan ke tops jo Papa laye thay,
Wo jo hum sab ko bhaaye thay,
Wo hath ke kangan, jo maine pehne bhi nahiin,
Maa sab aise hi rakhna, 
Main aaungi Maa
Mai gayii nahiin Maa
Main Hindustan ki har ladki mein zinda hoon Maa
Jab chaho mujhe bula lo Maa
Ma Jeena chaahti thi,
Main jee rahi hun Maa
Main jee rahi hun Maa
Maa.
"Kahte hai.n mahekta tha mera ghar, mera aangan ~ Mai.n tere khayalo.n mei.n kahii.n khoya hua tha"